bazar tere shahr ke badnam bahut hain

bazar tere shahr ke badnam bahut hain
chhoti si khushi ke bhi yahan dam bahut hain

main kaise chalun hausle ka hath pakad kar
is zindagi mein gardish-e-ayyam bahut hain

honton se baghawat ki sada kaise ho jari
waiz ko hukumat se abhi kaam bahut hain

is daur mein ummid karun adl ki kaise
munsif pe hi jab qatl ke ilzam bahut hain

aaghosh mein aur waqt ke baqi hain sukhnawar
'ghaalib' bhi kai 'mir' bhi 'khayyam' bahut hain

ye shahr bhi mahfuz nahin qahr-e-khuda se
saqi bhi hain mai-khane bhi hain jam bahut hain

wo zat hai wahid wo hi khaliq wo hi raaziq
makhluq ne par us ko diye nam bahut hain

imdad-o-ibaadat mein riya-kari na ho 'chand'
ikhlas-e-amal par wahan inam bahut hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close