be-mahal hai guftugu hain be-asar ashaar abhi

be-mahal hai guftugu hain be-asar ashaar abhi
zindagi be-lutf hai na-pukhta hain afkar abhi

puchhte rahte hain ghairon se abhi tak mera haal
aap tak pahunche nahin shayad mere ashaar abhi

zindagi guzri abhi is aag ke girdab mein
dil se kyun jaane lagi hirs-lab-o-rukhsar abhi

han ye sach hai sar-ba-sar khoe gae hain aql-o-hosh
dil mein dhadkan hai abhi dil to hai khud-mukhtar abhi

kyun na kar lun aur abhi sair-e-bahaar-e-lala-zar
main nahin mahsus karta hun nahif-o-zar abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close