bazm aaKHir hui shamon ka dhuan baqi hai

bazm aakhir hui shamon ka dhuan baqi hai
chashm-e-nam mein shab-e-rafta ka saman baqi hai

kat gai umr koi yaad na manzar na khayal
ek be-nam sa ehsas-e-ziyan baqi hai

kis ki jaanib nigaran hain meri be-khwab aankhen
kya koi marhala-e-umr-e-rawan baqi hai

silsile us ki nigahon ke bahut dur gae
kar-e-dil khatm hua kar-e-jahan baqi hai

hae ab tak wahi andaz-e-nazar hai us ka
ab bhi ek silsila-e-wahm-o-guman baqi hai

aaj ek umr mein us aankh ne puchha hai 'salim'
ab bhi kya pahli si be-tabi-e-jaan baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close