be-sada kyunkar hua be-dast-o-pa kyunkar hua main qafas mein bhi na tha phir bhi riha kyunkar hua aashna jitne bhi the na-ashna kyunkar hue hadisa ye bhi hua kaise hua kyunkar hua subh ki pahli kiran mehr-e-munawwar kab hui har bagula mauja-e-baad-e-saba kyunkar hua baam-o-dar par ja-ba-ja parchhaiyon ke aks the ghar ka ye manzar bhi lekin khushnuma kyunkar hua dubna thahra to phir kachche ghade ki shart kya wo sada ka sang-dil dard-ashna kyunkar hua shoabada-bazi kahan kar-e-masihai hui aadmi jab aadmi thahra khuda kyunkar hua khamushi kitne hi jazbon ka pata deti rahi nala gar paband-e-nai tha na-rasa kyunkar hua