bechain wo rahta hai mere pas se ja ke dekha hai kai bar mujhe us ne bhula ke aane se tere rang badal degi tamanna alfaz badal jaenge ai dost dua ke ye barq ye gul aur chamakte hue tare sab jalwe hain ye aap ke hansne ki ada ke main ne bhi bataya ki mera hausla kya hai tewar to bahut tez the tufan-e-bala ke zahir hue jab raaz-e-mohabbat to khalish kya jata hai to jae koi daman ko chhuda ke hum quwwat-e-parwaz mein sani nahin rakhte tode hain jo dar band the hum ne hi khala ke ye man liya hum to hain nakaam-e-mohabbat tum aur kisi se bhi dikhao to nibha ke bebak nigahon mein meri aisi kashish thi wo bhul gae aaj to andaz haya ke in aankhon mein aansu the mera haal jo dekha manzil ne qadam chum liye aabla pa ke wo roz 'suhail' ek nai chhed kare hai wo yunhi bigadega meri baat bana ke