begana bana deta hai andaz-e-bayan aur

begana bana deta hai andaz-e-bayan aur
ho samna un ka to bahakti hai zaban aur

tez aag hui jati hai ai soz-e-nihan aur
aansu jo tapakte hain to uthta hai dhuan aur

ai ruh na ho jae kahin jism-e-giran aur
ghabrae musafir to badalta hai makan aur

jab dubte taron se ulajh jati hain aahen
chha jata hai mahfil pe charaghon ka dhuan aur

kis tarah se yaksan hon mohabbat ke taqaze
parwanon ke dil aur hain shamon ki zaban aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close