is kamre mein KHwab rakkhe the kaun yahan par aaya tha

is kamre mein khwab rakhe the kaun yahan par aaya tha
gum-sum raushan-dano bolo kya tum ne kuchh dekha tha

andhe ghar mein har jaanib se bad-ruhon ki yurish thi
bijli jalne se pahle tak wo sab thin main tanha tha

mujh se chauthi bench ke upar kal shab jo do sae the
jaane kyun aisa lagta hai ek tere sae sa tha

suraj uncha ho kar mere aangan mein bhi aaya hai
pahle nicha tha to unche minaron par baitha tha

mazi ki nili chhatri par yaadon ke angare the
khwahish ke pile patton par girne ka dar baitha tha

dil ne ghanton ki dhadkan lamhon mein puri kar dali
waise anjaani ladki ne bas ka time puchha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close