bete ko saza de ke ajab haal hua hai dil pahron mera karb ke dozakh mein jala hai aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilauna us shakhs ko damad bhi waisa hi mila hai har ahl-e-hawas jeb mein bhar laya hai patthar ham-sae ki bairi pe abhi bor pada hai ab tak mere aasab pe mehnat hai musallat ab tak mere kanon mein mashinon ki sada hai ai raat mujhe man ki tarah god mein le le din bhar ki mashaqqat se badan tut raha hai shayad main ghalat daur mein utra hun zamin par har shakhs tahayyur se mujhe dekh raha hai