bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaega tere hote is sifat ka dusra ho jaega shart kar lo phir mujhe barbaad hona bhi qubul khak mein mil kar to hasil muddaa ho jaega sar na hoga dosh par to kya na hogi guftugu hichkiyon se shukr qatil ka ada ho jaega sina toda dil mein chutki li jigar zakhmi kiya kya khabar thi tir bhi teri ada ho jaega mere kahne mein hai dil jab tak mere pahlu mein hai aap le lije ise ye aap ka ho jaega sath un ke jaan bhi arman bhi jaenge aaj subh se pahle rawana qafila ho jaega main malun talwon se aankhen wo kahen samjhunga main yaad rakh phika agar rang-e-hina ho jaega phir wahi jhagde ka jhagda hai agar qum kah diya tegh ka mansukh sara faisla ho jaega kis khushi mein hae kaisa ranj phaila kya karun kya khabar thi hanste hanste wo khafa ho jaega hashr tak kyun baat jae kyun pade ghairon ke munh ghar mein samjhauta hamara aap ka ho jaega aankh se hai wasl ka iqrar dil dugda mein hai tum zaban se apni kah doge to kya ho jaega zulm se gar zabh bhi kar do mujhe parwa nahin lutf se darta hun ye meri qaza ho jaega us ne chheda tha mujhe tum jaan doge kab hamein kah diya main ne bhi jab wada wafa ho jaega yun sawal-e-wasl par tala kiya barson koi sabr kar muztar na ho tera kaha ho jaega lakh duniya mein hasin hon lakh huren khuld mein mujh ko jo tu hai wo koi dusra ho jaega tauba bhi kar li thi ye bhi nashsha ki thi ek tarang aap samjhe the ki 'bekhud' parsa ho jaega