bhole ban kar haal na puchho bahte hain ashk to bahne do

bhole ban kar haal na puchho bahte hain ashk to bahne do
jis se badhe bechaini dil ki aisi tasalli rahne do

rasmen is andher-nagri ki nai nahin ye purani hain
mehr pe dalo raat ka parda mah ko raushan rahne do

ruh nikal kar bagh-e-jahan se bagh-e-jinan mein ja pahunche
chehre pe apne meri nigahen itni der to rahne do

khanda-e-gul bulbul mein hoga gul mein naghma bulbul ka
qissa ek zabanen do hain aap kaho ya kahne do

itna junun-e-shauq diya kyun khauf jo tha ruswai ka
baat karo khud qabil-e-shikwa ulte mujh ko rahne do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close