KHudai mujhko mil jati KHuda-e-do-jahan milta

khudai mujh ko mil jati khuda-e-do-jahan milta
jo tum milte to goya hasil-e-kaun-o-makan milta

ghulam-e-saqi-e-kausar hun mai ki kya kami mujh ko
na milta gar yahan saghar mera hissa wahan milta

ise kab koi pa sakta use kya dekhta koi
nazar se dur dil ki wusaton mein jo nihan milta

unhen kab nind aai sunte sunte dil ka afsana
yahi tha waqt jab un ko bhi lutf-e-dastan milta

jalati ek bijli kyun-kar itne aashiyanon ko
chaman ke patte patte par hamara aashiyan milta

hamare sajda-e-be-astan ka ye karishma tha
na hota aastan jis ja wahan bhi aastan milta

wahan do chaar sajde tum bhi kar lo ja ke ai 'afqar'
pae sajda zamin se jis jagah hai aasman milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close