bhuk se bachche bilakte hain na jaane kitne

bhuk se bachche bilakte hain na jaane kitne
aur pani mein baha dete hain dane kitne

ek tamanna ka hua khun to kya gham ai dost
dafn hain sine mein arman na jaane kitne

kabhi auron ki kabhi apni himaqat ke tufail
hath aate rahe hansne ke bahane kitne

zindagi ek haqiqat bhi hai afsana bhi
har gali-kuche mein bikhre hain fasane kitne

ek gul-e-taza ki takhliq mein ai gulchino
jaane qudrat ne lutae hain khazane kitne

meri rudad ko sab apna fasana samjhe
ek fasane mein hain poshida fasane kitne

hausla bakhsha hai jine ka unhi khwabon ne
hum ne dekhe hain 'khalish' khwab suhane kitne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close