umr jalwon mein basar ho ye zaruri to nahin

umr jalwon mein basar ho ye zaruri to nahin
har shab-e-gham ki sahar ho ye zaruri to nahin

in splendour, life be ever spent, it need not be
that every woe filled night relent, it need not be

chashm-e-saqi se piyo ya lab-e-saghar se piyo
be-khudi aathon pahar ho ye zaruri to nahin

wine from her glance or from a goblet drunk
result in rapture permanent, it need not be

nind to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
un ki aaghosh mein sar ho ye zaruri to nahin

e'en on a bed of pain, sleep well could come
in her arms,merely, recumbent, it need not be

shaikh karta to hai masjid mein khuda ko sajde
us ke sajdon mein asar ho ye zaruri to nahin

in mosques the priest does often kneel and pray
that to his pleading god consent, it need not be

sab ki nazron mein ho saqi ye zaruri hai magar
sab pe saqi ki nazar ho ye zaruri to nahin

each person surely seeks her favour, but
each person be in her intent, it need not be

mai-kashi ke liye khamosh bhari mahfil mein
sirf khayyam ka ghar ho ye zaruri to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close