bhul baiTha tha magar yaad bhi KHud maine kiya

bhul baitha tha magar yaad bhi khud main ne kiya
wo mohabbat jise barbaad bhi khud main ne kiya

noch kar phenk diye aap hi khwab aankhon se
is dabi shad ko nashad bhi khud main ne kiya

jal phailae the jis ke liye chaaron jaanib
us giraftar ko aazad bhi khud main ne kiya

kaam tera tha magar mare murawwat ke use
tujh se pahle bhi tere baad bhi khud main ne kiya

shahr mein kyun meri pahchan hi baqi na rahi
is kharabe ko to aabaad bhi khud main ne kiya

har naya zaiqa chhoda hai jo auron ke liye
pahle apne liye ijad bhi khud main ne kiya

inkisari mein mera hukm bhi jari tha 'zafar'
arz karte hue irshad bhi khud main ne kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close