bhul bhi jaen tujhe zaKHm purana bhi to ho

bhul bhi jaen tujhe zakhm purana bhi to ho
ji bhi len jine ko jine ka bahana bhi to ho

hum ne sikha hi nahin tark-e-murawwat ka sabaq
baat badhti hai magar baat badhana bhi to ho

ab ke maqtal ko kisi mele ki zinat kar do
phir tamasha jo saje sath zamana bhi to ho

dasht-dar-dasht sahi aabla-pai hi sahi
aur masafat hi sahi koi thikana bhi to ho

aao yaran-e-jafa! zakhm kuredo dil ke
bazm-e-yaran hai zara jalna-jalana bhi to ho

shab ki zulmat ki qasam shab mein ujala kar den
hum charaghon sa jalen to kahin aana bhi to ho

hum jo chahen to tera naqsh mita den dil se
han magar dil se tera naqsh mitana bhi to ho

hum ko maslub karo lasha jala do chahe
qabl-e-tazir koi sunna-sunana bhi to ho

shah ji raat gae der gae tak bhatko
kaisi takhir kahin laut ke jaana bhi to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close