bichhaD ke mujhse ye mashghala iKHtiyar karna

bichhad ke mujh se ye mashghala ikhtiyar karna
hawa se darna bujhe charaghon se pyar karna

khuli zaminon mein jab bhi sarson ke phul mahken
tum aisi rut mein sada mera intizar karna

jo log chahen to phir tumhein yaad bhi na aaen
kabhi kabhi tum mujhe bhi un mein shumar karna

kisi ko ilzam-e-bewafai kabhi na dena
meri tarah apne aap ko sogwar karna

tamam wade kahan talak yaad rakh sakoge
jo bhul jaen wo ahd bhi ustuwar karna

ye kis ki aankhon ne baadalon ko sikha diya hai
ki sina-e-sang se rawan aabshaar karna

main zindagi se na khul saka is liye bhi 'mohsin'
ki bahte pani pe kab talak e'tibar karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close