kahin ye taskin-e-dil na dekhi kahin ye aaram-e-jaan na dekha

kahin ye taskin-e-dil na dekhi kahin ye aaram-e-jaan na dekha
tumhaare dar ki jo khak pai to hum ne su-e-jinan na dekha

badi chamak aaftab mein thi ajab damak mahtab mein thi
uchhaal di khak-e-dil jo hum ne kisi ko phir zau-fishan na dekha

agar muqaddar kare na yari to farq kya hai koi jagah ho
chalo wo qaid-e-qafas hi dekhi phunka hua aashiyan na dekha

baja ye farmaya koi tujh sa gada mubarram nahin jahan mein
huzur main ne bhi sari duniya mein aap sa mehrban na dekha

hazar phulon mein dilkashi ho banae gulshan hai khar-o-khas par
wo kya chaman hai ki jis chaman ne nashat-e-daur-e-khizan na dekha

uchhaal kar kashti-e-shikasta kinare maujon ne phenk di hai
bada hi shohra tha bahr-e-gham ka par us ko bhi be-karan na dekha

ruki ruki nabz dubta dil ukhadti sansen bhatakti aankhen
tumhaare hi dekhne ke qabil tha tum ne hi ye saman na dekha

kabhi purane ghamon ki sozish kabhi nai kashmakash ka khatka
dil-e-girafta ko shadmani mein bhi kabhi shadman na dekha

hazar ki tu ne harza-goi magar kaha muddaa na dil ka
jo sach kahen to zamane mein 'kaif' tujh sa bhi be-zaban na dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close