bichhaD ke tujhse mayassar hue visal ke din

bichhad ke tujh se mayassar hue visal ke din
hain tere khwab ki raaten tere khayal ke din

firaq-e-jaan ka zamana guzarna hoga
fughan se kam to na honge ye mah-o-sal ke din

har ek amal ka wo kya kya jawaz rakhta hai
na ban padega jawab ek bhi sawal ke din

uruj-e-bakht mubarak magar ye dhyan rahe
inhi dinon ke taaqub mein hain zawal ke din

guzar rahe hain kuchh is tarah roz o shab apne
ki jis tarah se katen shakh-e-be-nihaal ke din

shikayaten bhi bahut hain hikayaten bhi bahut
guzar na jaen yunhi ahd-e-be-misal ke din

wo zindagi ko naya mod de gaya 'mohsin'
yahi zawal ke din hain mere kamal ke din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close