bim-o-raja mein qaid har ek mah-o-sal hai jaise ye zindagi bhi koi yarghamal hai uljha hun aati jati sadaon se barha bichhda hun har nawa se ki khwab-o-khayal hai tuta hun is tarah ki bikharta chala gaya bikhra hun is tarah ki sanwarna muhaal hai is jabr-o-ikhtiyar se pamal main bhi hun ai ruh-e-ehtijaj bata kya khayal hai viran rahguzar pe udti hai roz khak ab tak meri talash mein baad-e-shimal hai surat-gari ke shauq ne gumrah kar diya ab main meri jabin mera dast-e-sawal hai bas yunhi mat guzar kabhi sahba se baat kar kahte hain us se milna bada nek fal hai