bigad jate the sun kar yaad hai kuchh wo zamana bhi koi karta tha jab meri shikayat ghaebana bhi wo jis par mehrban hote hain duniya us ki hoti hai nazar un ki palatte hi palatta hai zamana bhi suna karta hun tane hijr mein kya kya raqibon ke bana hun is mohabbat mein malamat ka nishana bhi yahan bhi farz hai zahid adab se sar jhuka lena mere nazdik kaba hai kisi ka aastana bhi fareb-e-dam mein lai hai kuchh sayyaad ki khatir qafas mein khinch kar laya hamein kuchh aab-o-dana bhi jala kar dil mera sayyaad ka thanda kaleja kar kahin ai barq jaldi phunk mera aashiyana bhi bigadte der hoti hai na bante der hoti hai mizaj-e-yar se kuchh milta-julta hai zamana bhi hasin padh kar ghazal meri mere mushtaq hote hain musakhkhar dil ko karta hai kalam-e-ashiqana bhi na bhulegi hafiz ahbab ko ye sarguzisht apni jahan mein yaad rah jaega kuchh apna fasana bhi