bijli giri hai kal kisi ujde makan par rone lagun ki hans padun is dastan par wo qahr tha ki raat ka patthar pighal pada kya aatishin gulab khila aasman par ek naqsh sa nikharta rahega nigah mein ek harf sa larazta rahega zaban par apne liye hi aankh ka parda hun raat din main warna aashkar hun sare jahan par sher aa ke chir phad gaya mujh ko khwab mein dam-bhar ko meri aankh lagi thi machan par pyasi hai ruh jism sharabor hai to kya be-kar meinh barasta raha saeban par pili hawa mein khun ka zarra uda hi tha pagal hua ye shahr zara se nishan par khali padi hain bed ki bimar kursiyan khun-khwab-dhup-dhund barasti hai lawn par kis taza marke pe gaya aaj phir 'zafar' talwar taq mein hai na ghoda hai than par