bikharte tutte lamhon ko apna ham-safar jaana ki tha is rah mein aakhir hamein khud bhi bikhar jaana sar-e-dosh-e-hawa ek abr-pare ki tarah hum hain kisi jhonke se puchhenge ki hai hum ko kidhar jaana dil-e-awara kya paband-e-zanjir-e-talluq ho na tha bas mein kisi ke bhi hawa ko qaid kar jaana pas-e-zulmat koi suraj hamara muntazir hoga isi ek wahm ko hum ne chiragh-e-rah-guzar jaana hamein to sath dena hai rafiqan-e-talatum ka mubarak tujh ko tanha is nadi ke par utar jaana mere jalte hue ghar ki nishani bas yahi hogi jahan is shahr mein kuchh raushni dekho thahar jaana suhane mausamon ki yaad sikhlaya tujhe kis ne ufuq par dida o dil ke dhanak ban kar bikhar jaana hisar-e-zabt mein rah kar maal-e-hasrat-e-dil kya kisi qaidi parinde ki tarah ghut ghut ke mar jaana dayar-e-khamushi se koi rah rah kar bulata hai hamein 'makhmur' ek din hai usi aawaz par jaana