rah-e-junun mein gham-e-zindagi ko mar diya ye nashsha talkh tha hum ne magar utar diya ab intizar ki shab jaane kis nagar mein kate ye din to hum ne tere shahr mein guzar diya na us ne aap hi socha fughan-e-dil ka ilaj na mujh ko ashk bahane ka ikhtiyar diya ek aur sal ka gham dil pe ashk ban ke gira ek aur sal tere hijr mein guzar diya dayar-e-jaan mein koi aur sanp hai to bata jo aastin mein tha pinhan wo hum ne mar diya koi fasil hi tuti na koi qufl khula na jaane soch ke kya dil ko eqtidar diya