bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai

bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai
aur hum ko sabr-o-zabt ki takid ki gai

awwal to bolne ki ijazat na thi hamein
aur hum ne kuchh kaha bhi to tardid ki gai

anjam-kar baat shikayat par ruki
pursish agarche az-rah-e-tamhid ki gai

tajdid-e-iltifat ki tajwiz rad hui
tark-e-talluqat ki taid ki gai

jine ka koi ek sahaara to chahiye
dar dar ke ki gai magar ummid ki gai

ghar ke charagh aur bhi be-nur ho gae
is darja khatir-e-mah-o-khurshid ki gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close