bimar ho gaya hun shifa-KHana chahiye

bimar ho gaya hun shifa-khana chahiye
ye sara shahr mujh ko bayabana chahiye

sanson ki zarb se na katega hamara habs
hum ko to ek pura hawa-khana chahiye

yun hi dikha rahi hai mohabbat ke sabz bagh
mere badan ko ruh se harjaana chahiye

takhir ho gai to bikhar jaega badan
aaghosh-e-yar ab tujhe khul jaana chahiye

phir dawat-e-gunah mili ek nigah se
phir meri parsai ko sharmana chahiye

wo jalwa samne ho to kaisi dua-salam
bas dekhte hi kaam pe lag jaana chahiye

dekhen to kaun jata hai mahmil mein khwab ke
tabir ke ghazal ko daudana chahiye

udham macha rahe hain bahut log shahr ke
'ehsas-ji' ko dasht se bulwana chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close