bite lamhon ko dhundhta hun main titliyon ko pakad raha hun main jaane wale mujhe bhi le chal sath qaid-e-hasti mein mubtala hun main ek taraf soch ek taraf ehsas do girohon mein bat gaya hun main jabr aaghaz jabr hi anjam tujh se khaliq mere khafa hun main jab se tere qarib aaya hun khud se bhi dur ho gaya hun main tu meri maut ko haram na kah teri khatir to mar raha hun main sang-e-rah ban ke rok lunga tujhe teri aadat samajh gaya hun main