tanaben katne lagin meri khush-bayani ki ki ab wo rut hi nahin teri mehrbani ki dubo diya hai mujhe meri khush-yaqini ne ye baat ghaur-talab hai meri kahani ki khizan mein hijr ki duba visal ka mausam magar hai zehn mein khushbu si raat rani ki kabhi to aaega sahil teri rifaqat ka abhi main baitha hun kashti mein bad-gumani ki shagufta lahje mein wo mujh se bolta hi nahin jahan mein dhum si hai jis ki khush-bayani ki kali chatak uthi mahaul ho gaya gul-bez jo baat aai kabhi us ki khush-bayani ki gulab chehre umidon ke bujh gae 'mehdi' na baat kijiye mausam ki mehrbani ki