bithai jaengi parde mein bibayan kab tak bane rahoge tum is mulk mein miyan kab tak haram-sara ki hifazat ko tegh hi na rahi to kaam dengi ye chilman ki tiliyan kab tak miyan se bibi hain parda hai un ko farz magar miyan ka ilm hi uttha to phir miyan kab tak tabiaton ka numu hai hawa-e-maghrib mein ye ghairaten ye hararat ye garmiyan kab tak awam bandh len dohar to third wantar mein second-o-first ki hon band khidkiyan kab tak jo munh dikhai ki rasmon pe hai musir iblis chhupengi hazrat-e-hawwa ki betiyan kab tak janab hazrat-e-'akbar' hain hami-e-parda magar wo kab tak aur un ki rubaiyan kab tak