jagah phulon ki rakhte hain ghana saya banate hain chalo apne khayali shahr ka naqsha banate hain abhi to chaak par hain kya kahen hum apne bare mein na jaane dast-e-kuza-gar hamein kaisa banate hain banani hai hamein taswir-e-dil kaghaz pe lekin hum kabhi dariya banate hain kabhi sahra banate hain ghazal us ke liye kahte hain lekin dar-haqiqat hum ghane jangal mein kirnon ke liye rasta banate hain kabhi bhule se bhi us ki taraf mat dekhna 'azhar' zara si baat ka ye log afsana banate hain