bojh KHwabon ka un aankhon se bahut Dhoya tha

bojh khwabon ka un aankhon se bahut dhoya tha
aur phir main bhi natije mein lahu roya tha

dukh mein shirkat ka yaqin ho bhi use to kaise
dil se roya tha main aankhon se nahin roya tha

dekh kar fasl andheron ki ye hairat kaisi
tu ne kheton mein ujala hi kahan boya tha

gum agar sui bhi ho jae to dil dukhta hai
aur hum ne to mohabbat mein tujhe khoya tha

jit is bar bhi kachhwe ki hui hairat hai
daud mein ab ke to khargosh nahin soya tha

jism nasuron se sajna hi tha tum ne 'shadab'
pattiyan dhoi thin zakhmon ko kahan dhoya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close