go husn ki surat hain meri samt rawan bhi

go husn ki surat hain meri samt rawan bhi
ek khwab si lagti hain mujhe raushaniyan bhi

kuchh apni kaho dubte taron ko na dekho
shayad na mile phir ye nashat-e-guzaran bhi

socha tha ki lutun teri furqat ke khazine
dekha na gaya tere bichhadne ka saman bhi

kuchh dil bhi hai mera gham-e-ayyam se bojhal
kuchh sham ki dahliz se uthta hai dhuan bhi

kis ajnabi rah-raw ke taaqub mein chala hai
paega na tu ret pe qadmon ke nishan bhi

karta hun kabhi chashm-e-takhayyul se nazara
hota hai kabhi tujh pe mohabbat ka guman bhi

tu hasil-e-manzil bhi mera rah-numa bhi
tu mujh se gurezan bhi qarib-e-rag-e-jaan bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close