bu-e-gul khinche na gulshan mein gul-e-tar khinche

bu-e-gul khinche na gulshan mein gul-e-tar khinche
shauq-e-didar tera hum ko hai dar dar khinche

tu mujhe chahe magar main tujhe chahun kaise
baat jab hai mera dil bhi tera paikar khinche

main ki manzil ka talabgar na samton ka asir
tu ki dariya jise har lamha samundar khinche

jabr ke sath ibaadat mein maza kya hoga
shauq se lakh hamein masjid-o-mimbar khinche

kab rahi teri tamanna dam-e-rukhsat mujh ko
koi bhi ruh ko is jism se bahar khinche

ek hi pal mein simat jae safar sadiyon ka
yun nigahon mein qayamat ka wo manzar khinche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close