aankhon mein wo aaen to hansate hain mujhe KHwab

aankhon mein wo aaen to hansate hain mujhe khwab
har roz nae bagh dikhate hain mujhe khwab

ab pyar ke mausam ka hai aaghaz yaqinan
naghmat nae khub sunate hain mujhe khwab

ho nind pe chhaya hua jab fikr ka baadal
ek sair nai samt karaate hain mujhe khwab

us zist ki talkhi se to achchhi hai meri nind
titli kabhi phulon se milate hain mujhe khwab

ek dard ka ehsas jagane ke liye hi
phulon ki tarah khar ke aate hain mujhe khwab

milte hain dukhane ko mera dil hi kai log
phir dard ke sahra mein sulate hain mujhe khwab

wo log 'sabila' ke jo bichhde hain safar mein
aksar unhin ki yaad dilate hain mujhe khwab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close