bujh jae dil bashar ka to usko shifa se kya

bujh jae dil bashar ka to us ko shifa se kya
kis darja hogi kargar us ko dawa se kya

jhulsa ke rakh diya jise baad-e-sumum ne
ghunchon se kya gharaz use baad-e-saba se kya

do waqt jis gharib ko roti na ho nasib
mazhab ka kya kare use zikr-e-khuda se kya

rahne ko jhonpada bhi na jis shakhs ko mile
us ko saza ki fikr kya us ko jaza se kya

jis ke badan pe gosht dikhai na de kahin
us aadmi ko ruh ki nash-o-numa se kya

tang aa chuka ho kashmakash-e-zindagi se jo
kya mah-washon se kaam use dilruba se kya

fikr-e-maash hi se na fursat mile jise
sher-o-adab se kya use mehr-o-wafa se kya

sunta ho jo zamir ki aawaz dosto
us ko kisi khizar se kisi rahnuma se kya

rahta ho apni zat mein jo mast har ghadi
us ko sara-e-dahr ki aab-o-hawa se kya

kahna ho jo bhi aap use barmala kahen
lafzon ke her-pher se tarz-e-ada se kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close