piri mein shauq hausla-farsa nahin raha

piri mein shauq hausla-farsa nahin raha
wo dil nahin raha wo zamana nahin raha

kya zikr-e-mehr us ki nazar mein hai dil wo khwar
shayan-e-jaur-o-zulm dil-ara nahin raha

jhagda mita diya but-e-kafir ne din ka
ab kuchh khilaf-e-momin-o-tarsa nahin raha

ushshaq-o-bul-hawas mein nahin karte wo tamiz
wan imtiyaz-e-nek-o-bad asla nahin raha

kyun bahr-e-sair aane lage gul-rukhan-e-dahr
piri mein dil saza-e-tamasha nahin raha

kah do ki qabr-e-nash bhi ki us ki paemal
nam-o-nishan-e-ashiq-e-ruswa nahin raha

ab tak yahan hai ijz o niyaz o wafa ki dhum
wan lutf o iltifat o madara nahin raha

kashti baghair dasht-nawardi ho kis tarah
ashkon se bahr ho gaya sahra nahin raha

masti mein raat wo na khule mujh se ham-nashin
kuchh e'tibar-e-nashsha-e-sahba nahin raha

kyun jaen phir ke kabe se 'nassakh' dair ko
wo sar nahin raha wo sauda nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close