but bane rah takoge kab tak aas ki aanch sahoge kab tak sar utha kar kabhi dekho to sahi dil ki duniya mein basoge kab tak jis ne apni bhi khabar li na kabhi tum use yaad karoge kab tak ham-safar ho to koi apna-sa chand ke sath chaloge kab tak koi patta hai na buta hai na gul dasht ko bagh kahoge kab tak har taraf aag barasti hai yahan kis tawaqqoa pe rahoge kab tak aandhiyan tez hui jati hain ghar bulata hai chaloge kab tak koi ja kar nahin aata 'shohrat' surat-e-shama ghuloge kab tak