but ki manind na apne ko banae rakhna jis jagah rahna wahan dhum machae rakhna khud ko dariya mein na qatron sa milae rakhna munfarid hone ka ehsas dilae rakhna kaam farzana-e-duniya ka nahin ai naseh parcham-e-ishq zamane mein uthae rakhna chashm-e-makhluq hai mizan-e-raza-e-maula chashm-e-makhluq mein khud ko na girae rakhna tujh ko dena ho agar zulmat-e-hijran ko shikast shama bujh jae magar dil na bujhae rakhna qalb-e-khuddar ki khatir to hai zillat ka sabab lau sada us but-e-kafir se lagae rakhna jis se milti ho har ek lahza ghazal ki khushbu sehn-e-ehsas mein wo phul khilae rakhna mere dil ko to kisi haal mein manzur nahin fikr-e-duniya mein teri yaad bhulae rakhna