chaak par mitti ko mar jaana hai khwab-e-tamir bikhar jaana hai hum ko us dasht mein jaana hoga wahshaton ka yahi harjaana hai sahibo hum hain usi saf ke log jin se sahra ko sanwar jaana hai samne hashr ki had hai sahab ab hamein laut ke ghar jaana hai qabr-gah hain sadaon ki yahan bas yahin hum ko bhi mar jaana hai tum ko khone ka tumhein pane ka hum ne har qism ka dar jaana hai koi bhi rah nahin hai us tak hum ko malum hai par jaana hai lo nazar aane laga us ka hashr qafile walo thahar jaana hai kis liye tairna ashkon mein sada ab tah-e-dida-e-tar jaana hai wo 'dinesh' us ki gali hai aage dekh lo tum ko kidhar jaana hai