ek barsat mein maidan samundar hoga dard socha nahin tha soch se badh kar hoga wo jo aaega mere pas masiha ban kar us ke hathon mein mere nam ka khanjar hoga tez chalne se hai maqsud rawani sun lo thak ke jo baith gaya mil ka patthar hoga lakh lete raho hathon ki talashi mere jo bhi andar hai mere zehn ke andar hoga surkh aankhon ka kahan rang hua karta hai khun mein lipte hue khwab ka manzar hoga jo gira dega mujhe tash ke patton ki tarah meri tamir mein tujh sa koi patthar hoga