chadha pani zara tu apne dhaare se nikal aaya achanak ek jagah dariya kinare se nikal aaya bahut raushan tha wo aur aakhir-e-shab ke ufuq par tha mere hi samne din us sitare se nikal aaya mujhe apne badan ka khas jalana tha zamistan mein mera ye kaam dil hi ke sharare se nikal aaya tah-e-dariya pade rahna tha main ne bhi guhar-surat thi mauj-e-tund ek jis ke sahaare se nikal aaya safar ko ek jagah se kar liya kuchh lamba aur mushkil ghalat rasta tha wo jis ke ishaare se nikal aaya hisab-e-dostan karne hi se malum ye hoga khasare mein hun ya ab main khasare se nikal aaya bahut mushkil tha kuchh us husn ki tarif mein kahna mera matlab magar ek istiare se nikal aaya zamin-e-dil ko bas thode se pani ki zarurat thi ye pani ek guzarte abr pare se nikal aaya mujhe phir qaid kar lena tha us ke husn ne 'shahin' munasib waqt par main ek nazare se nikal aaya