meri rahon mein kai marhale dushwar aae dair aaya haram aaya rasan-o-dar aae jalwa-gahon mein abhi sham-e-yaqin jalne do kya ajab hai jo koi talib-e-didar aae mahfil-e-naz ke aadab hain sab par lazim koi diwana yahan aae ki hoshyar aae ishq mein wusat-e-kaunain se shaista guzar kya khabar hai ki kahan jalwa-gah-e-yar aae saz-e-hasti mein wo soz-e-abadi paida kar dil ke tute hue taron se bhi jhankar aae mauj-o-sahil mah-o-anjum gul-o-lala dekhe jab kahin tujh ko na paya to sar-e-dar aae lazzat-e-dard nahin sab ke muqaddar mein 'qamar' jis ke hissa mein bhi ye daulat-e-bedar aae