chahaton ke khwab ki tabir thi bilkul alag aur jina pad rahi hai zindagi bilkul alag wo alag ehsas tha jab kashtiyan maujon mein thin lag rahi hai ab kinare se nadi bilkul alag aur kuchh mahrumiyan bhi zindagi ke sath hain har kami se hai magar teri kami bilkul alag ek an-jaani sada ne kya pata kya kah diya ruth kar baithi hai sab se khamushi bilkul alag lafz ki duniya alag shahr-e-maani aur hai main alag hun mujh se meri shaeri bilkul alag aaine mein muskuraata mera hi chehra magar aaine se jhankti be-chehragi bilkul alag sochta hun rang kitne hain mere kirdar mein main kabhi apni tarah hun aur kabhi bilkul alag sab andheron se juda dil ka andhera jis tarah har ujale se hai ghar ki raushni bilkul alag zindagi ki lai bikharne ka sabab shayad yahi saz ki dhun se hai meri naghmagi bilkul alag mujh ko in sairabiyon ne ek sahra kar diya aaj bhi lekin hai meri tishnagi bilkul alag