qurb nas nas mein aag bharta hai wasl se iztirab badhta hai main faqat ek khwab tha tera khwab ko kaun yaad rakhta hai aaj ki shab shab-e-qayamat hai dil mera be-tarah dhadakta hai faqr kya hai ba-dost pewastan gham ka irfan hai aagahi kya hai main milata hun sher-o-atish ko fan mujhe kimiya ka aata hai tosha-e-rah-e-ishq hai andoh gham dilon ko qarib lata hai sher-e-taza hai tohfa-e-shaer mushk-e-nafa hiran ne ugla hai qillat-e-kulfat-o-takalluf mein rahat-e-qalb-e-na-shakeba hai aish-e-na-paedar par nazan aadmi kitna bhola-bhaala hai jaan ka sarfa ho to ho lekin sarf karne se ilm badhta hai kise pas-e-maraatib-e-alfaz hashr-e-mani se qatl barpa hai pa ke ghafil kahin na das le tumhein daro us se jo tum se darta hai maqsad isbaat-e-zat hai us se kya gale ka sabab bhi hota hai sachche takhliq-kar ki manind unghta hai khuda na sota hai aab-o-rang-e-hayat hai us se aarzu jagton ka sapna hai mere maula-karim ne mujh ko ghair-matbua zehn bakhsha hai yun lage jaise parda-e-simin aankh kya ruh ka daricha hai kis ne dekha hai parda-e-zulmat dil ke bhedon ko kis ne paya hai kaun mar kar dobara zinda hua kaun mulk-e-fana se lauta hai kar ke yaksar mujhe nazar-andaz kis se dil ham-kalam rahta hai bawajud-e-fishaar-e-shab hama-shab husn har subh taza hota hai har bun-e-mu bana hai parda-e-saz dil ke taron ko kis ne chheda hai baat abdul-aziz-'khalid' ki dastan-e-amir-hamza hai