chale the ghar se to hum dard ki dawa ke liye

chale the ghar se to hum dard ki dawa ke liye
pade hain raste mein tere magar dua ke liye

mabaada shab ki siyahi zamin ko kha jae
naqab rukh se utha do zara khuda ke liye

koi charagh to aandhi se bach ke niklega
jala diye hain bahut se diye hawa ke liye

yahan to roz nai aafaton se pala hai
'husain' kitne ab aaenge karbala ke liye

wo jis ne tur pe musa ko be-qarar kiya
tadap rahi hai nazar phir usi ada ke liye

zamin ka sina to shoalon ki misl jalta raha
taras ke chal diye 'ejaz' ek ghata ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close