mizan-e-waqiat mein tola nahin gaya

mizan-e-waqiat mein tola nahin gaya
itna wo na-sipas tha likkha nahin gaya

khushbu ki aarzu mein saza qaid ki hui
sahra utha ke lae to puchha nahin gaya

yun bhi main apne bare mein kuchh likh nahin saka
lafzon ka shor aisa tha socha nahin gaya

donon ko fart-e-shauq ne lab-basta kar diya
wo chup raha to hum se bhi bola nahin gaya

qarz-e-firaq main ne mukammal chuka diya
lekin mere hisab se kata nahin gaya

kaise bhala fasane mein sach ki talash ho
lafzon ka her-pher hi pakda nahin gaya

aise safar-nasib hain pushton se hum 'amir'
ab tak hamare panw ka chhaala nahin gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close