chalo ye to hadsa ho gaya ki wo saeban nahin raha zara ye bhi soch lo ek din agar aasman nahin raha ye bata ki kaun si jang mein main lahuluhan nahin raha magar aaj bhi tere shahr mein koi mujh ko man nahin raha ye nahin ki meri zamin par koi aasaman nahin raha magar aasman kabhi mere tere darmiyan nahin raha shab-e-hijr ne hawas aur ishq ke sare farq mita diye koi chaarpai chatakh gai to kisi mein ban nahin raha sabhi zindagi pe farefta koi maut par nahin shefta sabhi sud-khor to ho gae hain koi pathan nahin raha na labon pe gham ki hikayaten na wo be-rukhi ki shikayaten ye itab hai shab-e-wasl ka ki main khush-bayan nahin raha isi be-rukhi mein hazar rukh hain purane rishte ke sahibo koi kam nahin hai ki jaan kar bhi wo mujh ko jaan nahin raha