chaman mein rahne de kaun aashiyan nahin malum nihaal kis ko kare baghban nahin malum mere sanam ka kisi ko makan nahin malum khuda ka nam suna hai nishan nahin malum akhir ho gae ghaflat mein din jawani ke bahaar-e-umr hui kab khizan nahin malum ye ishtiyaq-e-shahadat mein mahw tha dam-e-qatl lage hain zakhm badan par kahan nahin malum suna jo zikr-e-ilahi to us sanam ne kaha ayan ko jaante hain hum nihan nahin malum kiya hai kis ne tariq-e-suluk se aagah murid kis ka hai pir-e-mughan nahin malum meri tarah to nahin us ko ishq ka aazar ye zard rahti hai kyun zafaran nahin malum jahan o kar-e-jahan se hun be-khabar main mast zamin kidhar hai kahan aasman nahin malum supurd kis ke mere baad ho amanat-e-ishq uthae kaun ye bar-e-giran nahin malum khamosh aisa hua hun main kam-dimaghi se dahan mein hai ki nahin hai zaban nahin malum meri tumhaari mohabbat hai shohra-e-afaq kise haqiqat-e-mah-o-katan nahin malum kis aaine mein nahin jalwa-gar teri timsal tujhe samajhte hain hum in-o-an nahin malum mila tha khizr ko kis tarah chashma-e-haiwan hamein to yar ka apne dahan nahin malum khuli hai khana-e-sayyaad mein hamari aankh qafas ko jaante hain aashiyan nahin malum tariq-e-ishq mein diwana-war phirta hun khabar gadhe ki nahin hai kuan nahin malum jo ho to shauq hi ho ku-e-yar ka hadi kisi ko warna sabil-e-jinan nahin malum dahan mein aap ke albatta hum ko hujjat hai kamar ka bhed jo puchhun miyan nahin malum nasim-e-subh ne kaisa ye us ko bhadkaya hanuz aatish-e-gul ka dhuan nahin malum sunenge waqia us ka zaban-e-sausan se shahid kis ka hai ye arghawan nahin malum kanar-e-ab chale daur-e-jam ya lab-e-kisht shikar howe bat-e-mai kahan nahin malum rasai jis ki nahin ai sanam dar-e-dil tak yaqin hai us ko tera aastan nahin malum ajab nahin hai jo ahl-e-sukhan hon gosha-nashin kisi dahan mein zaban ka makan nahin malum chhutenge zist ke phande se kis din ai 'atish' janaza hoga kab apna rawan nahin malum