bulbul ko khar khar-e-dabistan hai in dinon har tifl ki baghal mein gulistan hai in dinon zunnar-e-ishq but mein rag-e-jaan hai in dinon naqus-e-barhaman dil-e-nalan hai in dinon aabaad mera khana-e-viran hai in dinon sailab mujh gharib ka mehman hai in dinon daman hai apne hath mein ek rashk-e-mah ka pesh-e-nazar hilal-e-gareban hai in dinon bagh-e-jahan mein jo hai giraftar hai tera aazad ek sarw-e-gulistan hai in dinon kahte hain hum zamin mein majnun ki ab ghazal har bait apni khana-e-zindan hai in dinon kafir ho ai sanam jo kharide na tu use mehndi ke mol khun-e-musalman hai in dinon hangama husn-o-ishq ka hai garm aaj-kal bahut diwana-e-pari hai jo insan hai in dinon masti ka un labon ke fasana kahan nahin majlis nahin wo jo nahin hairan hai in dinon sadqe chakor hote hain rukhsar-e-yar ke wo mah-e-chaar-dah mah-e-taban hai in dinon aata hai sair-e-bagh ko wo gauhar-e-murad phailae gul ke pas jo daman hai in dinon qad sarw chehra gul hai to sumbul hain mu-e-yar ghar khana bagh hai jo wo mehman hai in dinon jauhar-shanas jama hain 'atish' hai marka shamshir hai wahi ki jo uryan hai in dinon