chanchalahat mein tu mamola hai jhiljhilahat mein dar amola hai dekh tujh mukh kun yun chhupe yusuf jun kabutar kuen mein kola hai sair karta hun baith kar us bich dil hamara udan-khatola hai sarw sin qad hai yar ka mauzun main ne mizan lin ke tola hai sard-mehri sin be-wafa ka haal hai khunuk is qadar ki ola hai jaan kar ke ajaan hota hai tum na jaano ki jaan bhola hai hum sun sab mil kaho mubarakbaad ki tuk ek hans ke aa ke bola hai 'abru' hae kyun gale na laga mere dil mein yahi malola hai