dekh tu be-rahm aashiq nin tujhe chhoda nahin kis qadar be-ruiyan dekhin pa munh moda nahin ek chaspan hai tujhi par khush-numai ki qaba dusra kui jama-zebon mein tera joda nahin lat-pate saj nin tere dil kun kiya hai lot-pot warna aalam bich tuk bandon ka kuchh toda nahin dekhna shirin ka us kun sakht laga sang mein be-sabab farhad nin patthar sin sar phoda nahin aadmi darkar nahin sarkar mein haiwan dhundh kaun bujhe yan sipahi ke tain ghoda nahin jiw ne marne mein haq upar tawakkul hai use 'abru' nin zakhm ke khane mein hath oda nahin